
Loading ...
-
Ahsan Javaid:
saraaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa kahan ho yaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr bewafa dostttttttttttttttttttttttttttttttttttt
-
Yasir Ali:
@ Tahseen
Dear bohat he khobsurat intkhab hy.........!!
-
Sara Sober
koi shaam aisi nahi hoti jise teri pyaas na ho,
na sadiyon se aayi wo sham jise tera intezaar na ho,
kaagaz bhi murjha kar kehta hai,
kyon apne gam mujhe dete ho,meri to aankhen bhi nahi,
phir bhi mujhe num kar dete ho.
-
Tahseen Javed Rajput:
Zindaa rahen to kyaa hai jo mar jaayeN ham to kyaa
duniyaa men Khaamoshii se guzar jaayeN ham to kyaa
hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hain jahaaN men bikhar jaayeN ham to kyaa
ab kaun muntazir hai hamaare liye v... moreZindaa rahen to kyaa hai jo mar jaayeN ham to kyaa
duniyaa men Khaamoshii se guzar jaayeN ham to kyaa
hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hain jahaaN men bikhar jaayeN ham to kyaa
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaaN
shaam aa ga_ii hai lauT ke ghar jaayeN ham to kyaa
dil kii Khalish to saath rahegii tamaam umr
dariyaa-e-Gam ke paar utar jaayeN ham to kyaa
-
Tahseen Javed Rajput:
Kisee ko apnay amal ka (hisaab) kiya daytay,
Sawal saray ghalat thay jawab kiya daytay
-
Sara Sober
Kabhi abad krta tha kabhi barbad krta tha,
Sitam woh roz ik naya ijad krta tha,
Zamana ho gaya lekin khabar lene nahi aya,
Jo panchi roz mere nam pr azad krta tha..
-
Sara Sober
yp m frm pakistan
-
Saqlain Ali:
hi baby u are pakistani
-
Sara Sober → Tahseen Javed Rajput:
Uljhi howi hain hathoon ki lakeerain meri.
Bikhar si rahi hain khwaboon ki taberain meri.
Dard bharay rang hain tu kahin ansoo ki nami.
Kitni gehri hain yaadoon ki tasveerain meri.
Kuch khat teray parh kar meri ankh bhar aai.
... more Uljhi howi hain hathoon ki lakeerain meri.
Bikhar si rahi hain khwaboon ki taberain meri.
Dard bharay rang hain tu kahin ansoo ki nami.
Kitni gehri hain yaadoon ki tasveerain meri.
Kuch khat teray parh kar meri ankh bhar aai.
Kia tum nay bhi chupa rakkhi hain tehreerain meri.
Meri wehshat ka yeh alam tum dekh na pao gay...
Mat kholna kahin bhulay say bhi zanjeerain meri...
-
-
Sara Sober
tmko aik talkh haqeeqat bhi bata dete hain
jis ko aksar ye log chupa dete hain
tum ne girte howe patton ko tou dekha hoga
apni har sans wo tehni per ganwa dete hain
kya khoob sajate hain baharon me shajar ko
kardi dhoop me apna ap jala dete... moretmko aik talkh haqeeqat bhi bata dete hain
jis ko aksar ye log chupa dete hain
tum ne girte howe patton ko tou dekha hoga
apni har sans wo tehni per ganwa dete hain
kya khoob sajate hain baharon me shajar ko
kardi dhoop me apna ap jala dete hain
kitne berehm shajr hain naye paton ki khushi me
peelay patton ko khizaon me gira dete hain
aur jo girte hain qadmon me shajar k
''log unhi paton ko pairon me daba dete hain''
-
Tahseen Javed Rajput:
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Ch... moreAankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai less
-
Arman Khan:
waooooooooo!!!!!!!!!
waza style........
-
Hasnain HASSAN:
heyyyyy nice poetry ......
-
Tahseen Javed Rajput:
gam ka wo zor ab mere andar nahin raha
is umr main main itna samarwar nahin raha
is ghar main jo kashish thi gai un dinon k sath
is ghar ka saya ab mere sar par nahin raha
wo husn-e-naubahar abad shauq jism sun
rahna tha us ko sath ... moregam ka wo zor ab mere andar nahin raha
is umr main main itna samarwar nahin raha
is ghar main jo kashish thi gai un dinon k sath
is ghar ka saya ab mere sar par nahin raha
wo husn-e-naubahar abad shauq jism sun
rahna tha us ko sath mere par nahin raha
mujh main hi kuch kami thi ki behtar main un se tha
main shahar main kisi k barabar nahin raha
rahbar ko un k hal ki ho kis tarah khabar
logon k darmiyan wo akar nahin raha
wapas na ja wahan ki tere shahar main 'Munir'
jo jis jagah pe tha wo wahan par nahin raha less
-
Tahseen Javed Rajput:
Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sonchtaa Hoon Ke Ab Tera Kyaa Hoon Main
Bikhraa Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhoondtaa Hoon Main
Naa Jaane Kis Adaa Se Liya Toone Mera Naam,moreSadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sonchtaa Hoon Ke Ab Tera Kyaa Hoon Main
Bikhraa Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhoondtaa Hoon Main
Naa Jaane Kis Adaa Se Liya Toone Mera Naam,
Duniya Samajh Rahee Hai Ke Sab Kuch Tera Hoon Main
Le Mere Tajurbon Se Sabak Ae Mere Raqeeb,
Do Chaar Saal Umr Mein Tujhse Bada Hoon Main
-
Shah Muhammad:
YES, U R RIGHT. NICE SAYING.
-
Sara Sober → Tahseen Javed Rajput:
muskuraen woh neem khawab, aankhen
zindagi kaa jo hain nisaaab, aankehn
main musafar hun dasht-o-sehra ka
naseem-o-baad, or gul-o-habaab aanken
-
Sara Sober → Tahseen Javed Rajput:
muskuraen woh neem khawab, aankhen
zindagi kaa jo hain nisaaab, aankehn
main musafar hun dasht-o-sehra ka
naseem-o-baad, or gul-o-habaab aanken
-
Sid Malik:
app dor bohat ho yar
-
-
Tahseen Javed Rajput:
ajb ik shor sa bapa hai kahin,
koi khamosh ho gaya hai kahin,
hai kuch aisa k jaise ye sab kuch,
ab se pehle bhi ho chuka hai kahin,
jo yahan se kahin na jata tha,
wo yahan se chala gaya hai kahin,
tujh ko kiya ho gaya k chez... moreajb ik shor sa bapa hai kahin,
koi khamosh ho gaya hai kahin,
hai kuch aisa k jaise ye sab kuch,
ab se pehle bhi ho chuka hai kahin,
jo yahan se kahin na jata tha,
wo yahan se chala gaya hai kahin,
tujh ko kiya ho gaya k chezon ko ,
kahin rakhta hai dhondhta hai kahin,
tu mujhe dhondh main tujhe dhondhon,
koi hum main se reh gaya hai kahin,
ise kamre se ho k koi wida,
ise kamre main chup gaya hai kahin,
-
-
Sara Sober → PYAR MOHABBAT K ELAVA BHi BOHAT KUCH HAi ZiNDAGi MEi KERNY KO ..:
hmmmm vaqae krnay ko to bht kuch hai.. bt pyar mhbt krnay ka b apna mza hai..lolx..
-
Sara Sober → L0\/E:
Ishq ke bhi kuch andaz hote nahi,
Jagti ankhon mein bhi khawab hote hai,
Zaroori nahi k gam mein ansu nikle,
Muskurati ankhon mein bhi sailab hote hain
-
Yasir Ali:
@ Tahseen
Dear bohat he khobsurat intkhab hy.........!!
-
Sara Sober
koi shaam aisi nahi hoti jise teri pyaas na ho,
na sadiyon se aayi wo sham jise tera intezaar na ho,
kaagaz bhi murjha kar kehta hai,
kyon apne gam mujhe dete ho,meri to aankhen bhi nahi,
phir bhi mujhe num kar dete ho.
-
Tahseen Javed Rajput:
Zindaa rahen to kyaa hai jo mar jaayeN ham to kyaa
duniyaa men Khaamoshii se guzar jaayeN ham to kyaa
hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hain jahaaN men bikhar jaayeN ham to kyaa
ab kaun muntazir hai hamaare liye v... moreZindaa rahen to kyaa hai jo mar jaayeN ham to kyaa
duniyaa men Khaamoshii se guzar jaayeN ham to kyaa
hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hain jahaaN men bikhar jaayeN ham to kyaa
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaaN
shaam aa ga_ii hai lauT ke ghar jaayeN ham to kyaa
dil kii Khalish to saath rahegii tamaam umr
dariyaa-e-Gam ke paar utar jaayeN ham to kyaa
-
Tahseen Javed Rajput:
Kisee ko apnay amal ka (hisaab) kiya daytay,
Sawal saray ghalat thay jawab kiya daytay
-
Sara Sober
Kabhi abad krta tha kabhi barbad krta tha,
Sitam woh roz ik naya ijad krta tha,
Zamana ho gaya lekin khabar lene nahi aya,
Jo panchi roz mere nam pr azad krta tha..

Loading ...
There are no more posts to show.